Tu Khud Ki Khoj Mein Nikal Motivation Poem
Movie: PINK
Composition: Shantanu Moitra
Poetry: Tanveer Ghazi
Rendered by: Amitabh Bachchan
Label: Times Music
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai Tu chal,
tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai…
Samay ko bhi talaash hai…
Jo tujh se lipti bediyaan
Samajh na in ko wastra tu
Ye bediyaan pighaal ke
Bana le inko shastra tu…
Bana le inko shastra tu…
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai Tu chal,
tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai…
Samay ko bhi talaash hai…
Charitra jab pavitra hai
Toh kyun hai ye dasha teri…
Ye paapiyon ko haq nahi
Ki lein pareeksha teri
Ki lein pareeksha teri…
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai Tu chal, tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai…
Jala ke bhasm kar use
Jo kroorta ka jaal hai….
Tu aarti ki lau nahi
Tu krodh ki mashaal hai…
Tu krodh ki mashaal hai…
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai Tu chal,
tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai…
Samay ko bhi talaash hai…
Chunar uda ke dhwaj bana
Gagan bhi kapkaaega….
Agar teri chunar giri
Toh ek bhukamp aayega…
Toh ek bhukamp aayega…
Tu khud ki khoj mein nikal
Tu kis liye hataash hai Tu chal,
tere wajood ki
Samay ko bhi talaash hai…
Samay ko bhi talaash hai…